Funny Rhyming Poems Biography
(Source.Google.com.pk)
tu nay mujh say poocha hay, kay mein kesay rehta hon
yeh jo jalta dard sa hay, kesay usko sehta hon
sham dhalay dehleez pay bethay, kya tujhko ab bhi sochta hon
jab yad bikharnay lagti hay
aur sans attuknay lagti hay
jab sooraj gumm ho jata hay
aur chand bhi jalnay lagta hay
tu khud say poochnay lagta hon
yeh mein kesay rehta hon, dard ko kesay sehta hon.
mein kuch easay rehta hon
Mila wo b nhi krte !
mila hum b nhi krte !
waafa wo b nhi krte !
khtta hum b nhi krte !
Unhein ruswai ka dukh hai !
hmein tanhai ka dukh hai !
gila wo b nhi krte !
gila hum b nhi krte !
ksi morr pe Takrao aksar ho hi Jata hai !
ruka wo b nhi krte !
ruka hum b nhi krte !
Jb b dekhte hain Unhein !
sochty hain kuch keh dein Un se !
suna wo b nhi krte !
kaha hum b nhi krte !
lekin Ye bhi sach hai k !
muhabt Unhein bhi hai !
muhabt humein bhi hai !
Kaha wo b nhi krte !
zikar hum b nhi krte ....!!!
Palat kar aankh nam karna mujhey hargiz nahi aata
Gae lamhon ka gham karna mujhey hargiz nahi aata
Mohabbat ho tou be-had ho jo nafrat ho tou be payan
Koi bhi kaam kum krna mujhey hargiz nahi aata
mujy teri judai ne
yahi meraj bakhshi hy
k main jo lafz likhta hoon
wo saary lafz roty hain
k main jo harf bun'ta hoon
...wo saary bain karty hain
mery sang is judai main
mery alfaz marty hain
sabhi tareef karty hain
meri tehreer ki lekan
kabhi koi nahi sunta
maery alfaaz ki siski
falak b jo hila daaly
mery lafzon main hy shamil
usi taseer k aansu
kabhi dekho mery hamdam
MERI TEHREER K AANSU
Tum raho hum se door to ik kaam kar jana
Kuch pal apne humare naam kar jana
Agar a jaye mout humain tere aane se pehle
To a kar mere janaze ka ehteram kar jana
Na rona isqadar ke takleef ho humain
Mout ko bhi mazak samajh kar anjaan ban jana
Main ek din so jaon ga sada ke liye,
Phir mujhe bewafa keh ke badnaam kar jana
Jo guzro meri qabar se to nazrain na phairna
Mehman he ban ke Dua salam kar jana
Uss ny muhabbat ko b ik tijarat samja
Ik dhoka tha main jisy chahat samja
Wo mery dil ko torr karr khush hota raha
Main kaisa deewana tha jo dard ko b rahat samja
Uss ny samja hi nahi rishtoo k taqaddus ko kabhi
Yeh faqt khail tha main ny uss ki aadat samja
Har baar uss ny dia meri wafa ko fraib Dost
Main tha k apny pyaar ko ik abadat samja
"Na wajood apna, na rooh apni
Bas ik tamasha yeh zeest thehri
Na dil lagi main sakoon paya
Na aashqi main qarar paya
Na wasl lamhay hi raas aaye
Na firaaq hi ghum guzaar paaye
Ajab yeh chahat k marhalay hain
Na jeet paaye na haar paaye
Na hi yaadon ki dhund utri
Na dil k daaman ko jhaar paaye
Na aankhain khawabon ko dhoond paaien,
Na khawab aankhon ko dhoond paay'"
HOON TU KHAFA US se Per jane phir b q
Na chah kar b usko chahna acha lagta hay
Haqqeqat se hun door Ye mujh ko hay pata
Per jan k anjaan reh na acha lagta hay
Qayel nahi piyar me kuch bhi kehne ki
magar kabhi kabhi kuch us se kehna acha lagta hay
Wo mera tha , wo mera hay , who mera rehega
Kuch pal is khwab me aa jana acha lagta hay
Uss ny muhabbat ko b ik tijarat samja
Ik dhoka tha main jisy chahat samja
Wo mery dil ko torr karr khush hota raha
Main kaisa deewana thajo dard ko b rahat samja
Uss ny samja hi nahi rishtoo k taqaddus ko kabhi
Yeh faqt khail tha main ny uss ki aadat samja
Har baar uss ny dia meri wafa ko fraib Dost
Main tha k apny pyaar ko ik abadat samja
Qurb K Na Wafa K Hote Hain
Saray Jhagray Ana K Hote Hain
Baat Niyat Ki Sirf Hai Warna
Waqt Saray Dua K Hote Hain
Bhool Jate Hain, Mat Bura Kehna
Log Putlay Khata K Hote Hain
Wo Bazahir Jo Kuch Nahi Lagte
Un Se Rishtay Bala K Hote Hain
Wo Humara Hai Is Tarah Se Faiz
Jaisay Banday Khuda K Hote Hain
Talluq torna chaho, tm mujh ko chorna chaho
To meri shart itni hai tumhe jo de chuka hun me
mujhe luta do wo sub kuch
Mere namein wo chahat k, wo sub tofein mohabbt k
Wo bhegi diary meri, wo sari shaiyari meri
Sub hi wo phool or pat'tay, wo methi pyar ki batein
Kaho Luta Sako Gay Tum
Mere wo qeemti lamhay jo mujh ko sochte guzray
Wo pal jo aik Qayamat thy jo rasta dekhtay guzray
Khuda ko bhol kar wo din, jo tujh ko buj'tay guzray
Kaho Luta Sako Gay Tum
Haya ki chandni de di
Jiya ki ragni de di
Labu ki tashnagi de di
Hina ki roshni de di
Tujhe to zindagi de di, har aik apni khushi de di
To phir wo zindagi meri, han wo har aik khushi meri
Kaho Luta Sako Gay Tum
Agar mumkin ho aisa Tal'luq toor lena tum
Bhalay phir chor dena tum
Bhalay Phir Chor dena tum
Jab Tere Sheher me Raha karte Thy,
Hum Bhi Chup Chaap Jiya karte Thy,
Aankhon me Piyas Huwa karti Thi,
Dil me Toofan Utha karte Thy,
Log Aate Thy Ghazal Sunne,
Hum Teri Baat kiya karte Thy,
Ghar ki Diwaar Sajane ki khatir,
Hum Tera Naam Likha karte Thy,
Aaj Teri Tasveer Dekhi To YAAD Aaya,
kabhi Hum Bhi MOHABBAT kiya karty thy ..
Jo Khuda Mein Yakeen Rakhte Hain
Ek Pukhta Zameen Rakhte Hain
Aajmane Se Toot Jaya Karte Hain
Pyar Rishte Ye Maheen Rakhte Hain
Sab Ke Sab Bewafa Nahi Hote Hain
Jo Bhi Chere Haseen Rakhte Hain
Aandhiyan Unka Kya Beegarengi
Jo Ki Gehri Zameen Rakhte Hain
No comments:
Post a Comment