Long Poems Biography
(Source.Google.com.pk)
T'alluq rog ho ja'ay, ussko chorna behtar
T'arruf bojh ban ja'ay, to usska torna acha
Jiss afsaanay ko takmeel tak lana ho na-mumkin
Ussay aik khoobsoorat mor day kar chorna acha
Bhot kuch badal jata hai
Tere aane ke baad
Bohot kuch bichar jata hai
Tere jaane ke baad
Wo samandar ki leherey
Wo rait ke mehal
Bhot kuch beh jata hai
Saahil se takra jaane ke baad
Kabhi khamosh betho gay
Kabhi kuch gungunao gay
Main itna yaad aaon ga
Mujhey jitna bhulao gay
Koi jab pooch bethay ga
Khamoshi ka sabab tum say
Bohat samjhana chaho gay
Magar samjha na pao gay
Teri yaad bhi kamal krti hai
Kese kese humse sawal krti hai
Ik pal ko tanha nahi krti mujhy
Teri yaad bhi mera kitna khiyal rakhti hai
Is be naam se rishtey ko nibha jaao kisi din
Jo mil jae kabhi fursat tou paass aajo kisi din
Milta hai sabhe kuch sab he ko ye suna hai
Mujh ko tou faqat tum he mil jaao kisi din
Barsoon ki muhabbat ko kis tarah bhuladete hain
Mujh ko bhi aisa hunar sikha jao kisi din
Muqaddar me jo likha hai wo kabhi na mitte ga kanwal
Fursat milay tou dil ko ye baat samjha jao kisi din
Bana ker Faqeeron ka hum bhais Ghalib
Tamasha-e Ahl-e-Karam Dekhtay Hain
Zamaney bhar ne y loota hai faraib-e-dosti day kar "Faraz".
Agar tum sath do to sab say dushmani kar loon
peenay dey saqi abi raat baqi hai
mere hissay ki abi sharab baqi hai
jana ha sub kuch bula k muje maikhaney se
peenay de abi Dil ma kisi ki yaad baqi hai
Kabhi Abaad karta tha kabhi Barbaad karta tha
sitam har roz wo eik neya Eijaad karta tha
zamana ho gya lekin Khabar leny nai aya
Jo punchi roz mery name par azad karta tha
AB TAK WOH ZAKHAM PURAANEY
BHARE NAHI IS DIL KE
MERI HATELI KI REKHAON MEIN
AB KOI NAYA VAADA NA LIKHO
DIL KEHTA HAI EK BAAR UNSEY
INKAAR KAR KE TO DEKHO
KISMAT KEHTI HAI
KHUD ZINDGI MEIN APNI KOI HAADSA NA LIKHO
WOH APNEY GHUM MEIN DOOBEY
HUM UN KE GHUM MEIN DOOBEY
AEY KHUDA PHIR MILA DE UNSE
KISMAT KO MERI PHIR TANHA NAA LIKHO
Ho Koi Naam Aisa To Jo Mujassma Husn-e-Fitrat Ho
Bohat Hi Khubsurat Ho Kisi Nazuk Pari Jaisa
Tumhari Shairii Sari Meri Tareef Thehrii Hay
Jisay Sun Kar Main Khuwabon Ki Si Kaifiyat Mein Kho Jaon
Vo jo likhta phirta hai dar o deevar pe naam mera
Kahin bikher na de mujhe harf harf kar ke
Sabab judai ka kuch to batao mujhe
Phir chahe dil o jaan se satao mujhe
Chalo ye mana tumhe fursat hi nahi
Magar! ye lazim to nahi bhool jao mujhe
Tujhse bichar k apni kahani badal gai
Darya e zindigi ki ravani badal gai
Logon k is hujoom mein dhoonden tujhe kahan
Is sheher ki yo sari nishani badal gai
No comments:
Post a Comment